Hindi humari rastra bhasha jis par hume garv hain aur hona chahhiye. wo hindi jis ne hindu aur nushlim sabhayat ko ek kiya, jis aajadi ke samay sare desh ne apnaya. Hindi me likhe akhbaro ki wajha se sara desh angrezo ke khilaph ek huaa..........jara dekhna kya halat hain us hindi ki aaj desh me:-
Msdhya pradesh, Uttar pradesh, Bihar, Jharkhand,Uttrakhand, Chattisgarh, Punjab, Haryana, Rajsthan, Delhi......
ITNE SARE PRADESH HINDI BOLTE THE ISLIYE DESH KI RASTRA BHASHA HINDI BANAI GAYI THI LEKIN AAJ:-
1)MAHARASHTRA ME RAJ THAKREY KE GUNDE HINDI BOLE WALO KO MAR RAHE HAIN
2)RAHUL RAJ (BIHAR) KO MAHARASHTRA POLICE NE MAR DIYA FAQ ENCOUNTER ME.
3)DHARMDEV RAI(UP) KO KUCH LOGO NE LOCAL TRAIN ME MAR DIYA KYONKI WO MARATHI AHI HINDI BOLTA THA AUR HINDI BHASHI PRADESH SE AAYA THA.
4)JO STUDENTS MUMBAI ME RAILWAY KA EXAM DENE GAYE THE UNHE RAJ THAKREY KI NAV NIRMAN SENA NE MAR RA.
5)NOVEMBER KE PEHALE WEEK ME ASSAM ME 2 HINDI BHASHIYON KO MARA DIYA GAYA.
6)TAMIL NADU ME AAJ BHI BOLA JATA HAI HUM RASTRA BHASHA TAMIL KO MANTE HAIN HINDI KO NAHI.
7)MADRAS ME KOI AAPSE HINDI ME BAT NAHI KAREGA
INDIA KE KAI SARE STATES ME LOG HINDI JANTE TAK NAHI
.JIN ANGREZO NE HUM PAR 150 SAL RAJ KIYA UNKI BHASHA ENGLISH BOLNA LOG APNI SHAN SAMAJHTE HAIN AUR HUMARI APNI RAHTRABHASHA BOLNE ME SHARM AATI HAI.
#IN CALL CENTRES -
AAJ KOI BHI YUVA CALL CENTRES ME JOB KARNE JATA HAI YA MULYI NATIONAL COMPANY ME TO USE APNI MTI AUR RTI THIK KARNI PADTI HAI KYA HAI YE MTI AUR RTI.......
YE HAI MOTHER TONGUE YA REGIONAL TONGUE INFLUENCE. MATLAB HUMARI MATRBHASHA YA KAHE RASHTRABHASHA JIS PAR HUME GARV HONA CHAHIYE, US PAR LOG SHARM KAR RAHE HAIN. CALL CENTRES YA MULTI NATIONAL ME INTERVIEW LENE WALE LOG KEHTE HAIN LOG KAHTE HAIN AAPKI BHASHA ME MTI HAI YA RTI HAI.
SHARM AANI CHAHIYE JO BAT GARV KARNE KI HAI KI HUME HINDI AATI HAI HUMARI BHASHA US PAR LOG SAWAL UTHA RAHE HAIN
AAJ HAR NAUKRI ME HINDI NAHI ENGLISH CHAHIYE AGAR GOVERNMENT KOANGREZO KI HI GULAMI KARNI THI TO DESH KI RASHTRABHASHA HINDI KYON BANAI GAI.
AAJ RUSSIA AUR CHINA JAINSE DESH APNI BHASHA KE DUM PAR DEVELOPED HAIN PHIR BHI HUM APNI BHASHA KA ADAR NAHI KAR PA RAHE HAIN.
TAB BHI AAJ KUCH LOG HAIN JO HINDI KO BACHAYE HUE HAIN.